jab subh ki dahliz pe bazar lagega har manzar-e-shab khwab ki diwar lagega pal bhar mein bikhar jaenge yaadon ke zakhire jab zehn pe ek sang-e-giran-bar lagega gundhe hain nai shab ne sitaron ke nae haar kab ghar mera aaina-e-anwar lagega gar sail-e-khurafat mein bah jaen ye aankhen har harf-e-yaqin kalma-e-inkar lagega haalat na badle to tamanna ki zamin par tuti hui ummidon ka ambar lagega khilte rahe gar phul lahu mein yunhi 'akbar' har fasl mein dil apna saman-zar lagega