itna bhi nahin karte inkar chale aao sau bar bulaya hai ek bar chale aao hon fasle naqshon ke ya farq hon shahron ke dil se to nahin duri sarkar chale aao ek muntazir-e-wada bedar to hai kab se ho jae muqaddar bhi bedar chale aao andesha-e-ruswai kyun rah mein hail ho kar lenge zamane ko hamwar chale aao ta-chand wahi ranjish lillah idhar dekho lo jurm ka karte hain iqrar chale aao be-kaifi-e-mausam ka ye uzr hai be-mani lag jaenge phulon ke ambar chale aao is aabla-pai mein kharon ki shikayat kya kuchh khar bhi hain aakhir haqdar chale aao jab chal hi pade 'akhgar' phir fikr koi kaisi jis tarah bane ab to sarkar chale aao