hangama-e-gham se tang aa kar izhaar-e-masarrat kar baithe mashhur thi apni zinda-dili danista shararat kar baithe koshish to bahut ki hum ne magar paya na gham-e-hasti se mafar virani-e-dil jab had se badhi ghabra ke mohabbat kar baithe hasti ke talatum mein pinhan the aish o tarab ke dhaare bhi afsos hami se bhul hui ashkon pe qanaat kar baithe zindan-e-jahan se ye nafrat ai hazrat-e-waiz kya kahna allah ke aage bas na chala bandon se baghawat kar baithe gulchin ne to koshish kar dali suni ho chaman ki har dali kanton ne mubarak kaam kiya phulon ki hifazat kar baithe har chiz nahin hai markaz par ek zarra idhar ek zarra udhar nafrat se na dekho dushman ko shayad wo mohabbat kar baithe allah to sab ki sunta hai jurat hai 'shakil' apni apni 'haali' ne zaban se uf bhi na ki 'iqbaal' shikayat kar baithe