karna hai zindagi jo qafas mein basar mujhe phir kyun na hon wabaal mere baal-o-par mujhe allah re shauq-e-did jidhar dekhta hun main juz husn dost kuchh nahin aata nazar mujhe hota hai koi dam mein charagh-e-hayat gul sham-e-firaq kya ho ummid-e-sahar mujhe rah-e-talab mein duri-e-manzil ka gham nahin malum ho chuka hai maal-e-safar mujhe taqdir ke likhe ko mita dun jabin se main qismat se mil to jae tera sang-e-dar mujhe baitha hua qafas mein yahi sochta hun main lai chaman se kaun kashish khinch kar mujhe afsana zindagi ka na puchho ki ishq mein takni padi hai rah-e-ajal umr-bhar mujhe barbaadiyon ka apni koi gham nahin magar paegi phir kahan ye tumhaari nazar mujhe 'shoala' khayal-e-dost se ghafil nahin hun main manzur hai jo chaara-e-dard-e-jigar mujhe