mil-jul kar iman khuda par la sakte hain ek jannat mein bhuk aur pyas sama sakte hain aap agar samjha den khal-o-khad manzar ke hum apni hairat ka nam bata sakte hain mere khaliyanon se uthte aag ke shoale jhonke tere baghon tak phaila sakte hain kamre ke dam ghut jaane ka khauf na ho to hum apni tanhai ko dohra sakte hain nind uda sakte hain dushman ke lashkar ki malika ke khwabon se phul chura sakte hain aap agar palkon ki chaukhat tak aa jaen hum apni taswir se bahar aa sakte hain lamha itni gunjaish rakhta hai khud mein aap is mein aane se pahle ja sakte hain hum bechain khilaune ek din mud mein aa kar jismon ke show-case se bahar aa sakte hain kar sakte hain dariya ko ek misre mein qaid aur sahra ko ghar ki rah dikha sakte hain palkon ki darzon se jhankne wale ek din rukhsaron par aa kar shor macha sakte hain