har ek lamha hamein hum se juda karti hui si hamare bich diwar-e-ana banti hui si larazti kanpti misl-e-haya simti hui si meri jaanib badhi us ki sada sahmi hui si wahi manzar larazta hai nigahon mein abhi tak dariche hath phailae hawa ruthi hui si tere qadmon ki aahat rahguzar-dar-rahguzar raushan teri aamad ki khushbu ja-ba-ja bikhri hui si sabhi manus chehre ajnabi se lag rahe hain hamein jine nahin degi faza badli hui si nigahon ke ufuq hairaniyon ke abr mein gum koi shai aaine mein runuma hoti hui si na jaane kis tabahi ki taraf le jaegi ab hamari zindagi be-sakhta badhti hui si mujhe mujh se alag karne pe aamada hai 'akhtar' meri pahchan mujh se aashna hoti hui si