jo ab bhi un ki yaaden aaiyan hain to aankhen ashk-e-khun barsaiyan hain purane zakhm kar deti hain taza sitamgar kis qadar purwaiyan hain ye roz-o-shab ye subh-o-sham kya hain nigar-e-waqt ki angdaiyan hain agar dil hi hua shaista-e-gham kahan duniya mein phir ranaiyan hain ye kya qissa nikala tu ne naseh dil-e-betab par ban aaiyan hain sanbhal ja ai dil-e-nadan sanbhal ja ki aage har taraf ruswaiyan hain nikale sab ne apne apne matlab sukhan mein kis qadar gahraiyan hain bana dala zamane bhar ko dushman bala-e-jaan meri danaiyan hain maqam-e-shukr hai ye bhi to 'azhar' muqaddar mein agar tanhaiyan hain