is rah mein aate hain bayaban bhi chaman bhi kahte hain jise zist shabistan bhi hai ran bhi kya ho gaya insan ka wo shauq-e-shahadat viran nazar aate hain ab dar-o-rasan bhi bujh jaegi mil-jul ke agar pyas bujhao ganga hi ke nazdik to hai rud-e-jaman bhi ab lala-ba-daman na koi chaak-gareban viran chaman hi nahin sunsan hai ban bhi ek hum hi nahin aabla-pa dasht-o-daman mein aate hain nazar khak-basar lala-badan bhi khali nahin ab daman-e-hasrat mera 'darshan' ham-rah-e-wafa mujh ko mila ishq-e-watan bhi