kis tarah lab pe hansi ban ke fughan aati hai mujh se puchho mujhe phulon ki zaban aati hai zahr-e-gham pije to alfaz mein ras aata hai dil ko khun kije to afkar mein jaan aati hai khair ho dil ki ki phir lai wahi chhedi us ne jaise kashti ki taraf mauj-e-rawan aati hai shikan-e-zulf bhi hai husn-e-tarab mein goya khinch ke har tan mein taswir-e-butan aati hai baat wo hai jo lab-e-lal-e-nigaran se chale khun bhi ho dil to ye tasir kahan aati hai phir nazar aati hai mehrab-e-haram khali si phir wahi yaad-e-butan aafat-e-jaan aati hai khush-adaon ke sukhan ek hi sare 'haqqi' un ko europe mein bhi dilli ki zaban aati hai