hanso na tum rukh-e-dushman jo zard hai yaro kisi ka dard ho apna hi dard hai yaro dilon se shikwa-e-baham ko dur karne mein lagega waqt ki barson ki gard hai yaro hum ahl-e-shahr ki fitrat se khub waqif hai wo ek gharib jo sahra-naward hai yaro jahan mata-e-hunar ki kharid hoti thi bahut dinon se wo bazar sard hai yaro ajab nahin ki bayaban ke hont tar ho jaen faza mein aaj samundar ki gard hai yaro khata kisi se hui ho koi bhi mujrim ho jawab-dah to yahan fard fard hai yaro khayal-e-sud na adnesha-e-ziyan koi 'shamim' bhi koi aazad mard hai yaro