subh-dam bhi yun fasurda ho gaya ai dil-e-nazuk tujhe kya ho gaya sina-e-barbat se jo shoala utha gham-zadon ke dil ka naghma ho gaya shukriya ai gardish-e-jam-e-sharab main bhari mahfil mein tanha ho gaya raat dil ko tha sahar ka intizar ab ye gham hai kyun sawera ho gaya puchhiye us se gham-e-saz-e-khulus chaar hi din mein jo ruswa ho gaya bujh gai kuchh is tarah sham-e-'salam' jaise ek bimar achchha ho gaya