har aawaz zamistani hai har jazba zindani hai kucha-e-yar se dar-o-rasan tak ek si hi virani hai kitne koh-e-giran kate tab subh-e-tarab ki did hui aur ye subh-e-tarab bhi yaro kahte hain begani hai jitne aag ke dariya mein sab par hamin ko karna hain duniya kis ke sath aai hai duniya to diwani hai lamha lamha khwab dikhae aur sau sau tabir kare lazzat-e-kam-azar bahut hai jis ka nam jawani hai dil kahta hai wo kuchh bhi ho us ki yaad jagae rakh aql ye kahti hai ki tawahhum par jina nadani hai tere pyar se pahle kab tha dil mein aisa soz-o-gudaz tujh se pyar kiya to hum ne apni qimat jaani hai aap bhi kaise shahar mein aa kar shair kahlae hain 'alim' dard jahan kamyab bahut hai naghmon ki arzani hai