hansti aankhen hansta chehra ek majbur bahana hai chand mein sach-much nur kahan hai chand to ek virana hai naz parastish ban jaega sabr zara ai shorish-e-dil ulfat ki diwana-gari se husn abhi begana hai mujh ko tanha chhodne wale tu na kahin tanha rah jae jis par tujh ko naz hai utna us ka nam zamana hai tum se mujh ko shikwa kyun ho aakhir basi phulon ko kaun gale ka haar banae kaun aisa diwana hai ek nazar mein duniya bhar se ek nazar mein kuchh bhi nahin chahat mein andaz nazar hi chahat ka paimana hai khud tum ne aaghaz kiya tha jis ka ek tabassum se mahrumi ke aansu ban kar khatm pe wo afsana hai yun hai us ki bazm-e-tarab mein ek dil gham-dida jaise chaaron jaanib rang-mahal hain beach mein ek virana hai