na tarz-e-dost na rang-e-adu se milta hai wo bankpan jo teri guftugu se milta hai main kya bataun ye kis khub-ru se milta hai jab aaftab lab-e-abju se milta hai hamare zakhm hare hon to muskuraate hain hamein sukun bhala kab rafu se milta hai hamari tarah ye hai kushta-e-sitam ki 'nawed' hina ka rang hamare lahu se milta hai