khun bahane ke hain hazar tariq rang lane ke hain hazar tariq kaba-o-dair par nahin mauquf us yagane ke hain hazar tariq koi mazhab nahin zamane ka is purane ke hain hazar tariq uzr-e-masti o mai-parasti kya bhul jaane ke hain hazar tariq dil-sitani ke saikdon andaz dil satane ke hain hazar tariq yaad mein khwab mein tasawwur mein aa ki aane ke hain hazar tariq dil-lagi dil-dahi dil-arami dil lubhane ke hain hazar tariq dil mushabbak hua to farmaya aane jaane ke hain hazar tariq kis tariqe se ho nibah 'bayan' ki zamane ke hain hazar tariq