haq ye hai qalb mein murshid ke jo ghar rakhte hain yar-e-harjai ko apna wahi kar rakhte hain nazr hum kar chuke donon tumhein ai hazrat-e-ishq dosh par sar ko na pahlu mein jigar rakhte hain qatra kab rakkhe khabar jabki fana bahar mein hai be-khabar haq se hain jo us ki khabar rakhte hain pi chuke jam-e-baqa hath se jo saqi ke ku-e-jaanan mein wahi apna guzar rakhte hain le udi baad-e-fana jin ke ghubar-e-tan ko wo nishan rakhte hain apna na asar rakhte hain hai yaqin jin ko ki hai ek 'asad' phir to wo zer rakhte hain kisi ko na zabar rakhte hain