us ki gahrai ka andaza nahin wo samundar hai koi dariya nahin nafraton ki khaiyon ko patne dil kisi ka todna achchha nahin ye khula ahbab jab dushman hue saf-goi ka sila achchha nahin misl-e-gard-e-baad chakkar mein raha main kisi aawaz par thahra nahin ek ghutan zanjir-e-pa banti gai main hisar-e-zat se nikla nahin phul si fitrat 'raza' dariya sa dil main kisi ki rah ka kanta nahin