haqiqat-e-gham-e-ulfat chhupa raha hun main shikasta-dil hun magar muskura raha hun main kamal-e-hausla-e-dil dikha raha hun main kisi se rasm-e-mohabbat badha raha hun main badal diya hai mohabbat ne un ka tarz-e-amal ab un mein shan-e-takalluf si pa raha hun main machal machal ke main kahta hun baithiye to sahi sambhal sambhal ke wo kahte hain ja raha hun main suni hui si bas ek dhun zarur hai lekin ye khud khabar nahin kya gunguna raha hun main