nazar aate the hum ek dusre ko zamane ko nazar aane se pahle tajjub hai ki is dharti pe kuchh log jiya karte the mar jaane se pahle muzayyan thi kisi ke khal-o-khad se hamari sham paimane se pahle gareban ke batan pe unghta tha sitara aankh khul jaane se pahle raha karta tha apne zoam mein wo hamare dhyan mein aane se pahle