mere bulane pe kahte hain wo aji kya hai koi batao ki ye lafz waqai kya hai na koi wajah na koi sabab na koi baat ye ijtinab hai kaisa ye be-rukhi kya hai pahunch hai chand sitaron se aage us ki magar khud aadmi hi na samjha ki aadmi kya hai hamesha chand ki jaanib na dekhte rahiye huzur aap ki us ki barabari kya hai main ek-ek ke haalat ko samajhta hun wo sab pe ungli uthata hai kyon wahi kya hai surahi chhin le saqi ke hath se 'manzar' ye arz-dasht ye minnat ye aajizi kya hai