ho rahzan ki hidayat ki rahbar ke fareb meri nigah ne khae nazar nazar ke fareb ye but-kade ye kalisa ye masjiden ye haram ye sab fareb hain aur ek sang-e-dar ke fareb samajh rahe the ki ashkon se hoga dil halka na jaante the ki hain ye bhi chashm-e-tar ke fareb pata chala ki har ek gam mein thi ek manzil khule hain manzil-e-maqsud par safar ke fareb inhin ka nam mohabbat inhin ka nam junun meri nigah ke dhoke teri nazar ke fareb