koi nashsha na koi khwab kharid tira-bakhti hai mahtab kharid hai muzayyan dukan-e-la-adri sau sawalon ka ek jawab kharid kisa-e-tamma mein chhupa dinar phir bila khauf ehtisab kharid badi mabsut hai kitab-e-khalq koi achchha sa intikhab kharid tujh mein hai bahr-e-be-karan ka wajud tujh se kis ne kaha habab kharid tota-chashmi ke aib se hai pak shakl bad hi sahi ghurab kharid tab kahin ja ke hoga tu 'ghaalib' asadullah ka khitab kharid madah-khwan hoga har waraq 'rahi' sirf ek lafz-e-intisab kharid