har ek raat ko mahtab dekhne ke liye main jagta hun tera khwab dekhne ke liye na jaane shahr mein kis kis se jhut bolunga main ghar ke phulon ko shadab dekhne ke liye isi liye main kisi aur ka na ho jaun mujhe wo de gaya ek khwab dekhne ke liye kisi nazar mein to rah jae aakhiri manzar koi to ho mujhe gharqab dekhne ke liye ajib sa hai bahana magar tum aa jaana hamare ganw ka sailab dekhne ke liye padosiyon ne ghalat rang de diya 'azhar' wo chhat pe aaya tha mahtab dekhne ke liye