sharmindagi-e-dil ko chhupaoge kahan tak aahon ki rasai hai zamin aur zaman tak bin us ke hai dushwar yahan sans bhi lena aaya hai koi dil mein utar kar rag-e-jaan tak kanon mein wo amrit sa utar jata hai ban kar tasir masihai ki aae jo zaban tak har dil mein tamanna to har ek aankh mein hasrat shaidai-e-ulfat hai yahan pir-o-jawan tak mahrum nazar hai mera zakhmon se bhara dil hasil hai hamein dad faqat zor-e-bayan tak gardan ye kisi taur kabhi bach na sakegi aa jaegi jis roz qaza nok-e-sinan tak jis roz yaqin aaega mar jaenge us din rahne do mohabbat ko yunhi wahm-o-guman tak