parai nind mein sone ka tajraba kar ke main khush nahin hun tujhe khud mein mubtala kar ke usuli taur pe mar jaana chahiye tha magar mujhe sukun mila hai tujhe juda kar ke ye kyun kaha ki tujhe mujh se pyar ho jae tadap utha hun tere haq mein bad-dua kar ke main chahta hun kharidar par ye khul jae naya nahin hun rakha hun yahan naya kar ke main jutiyon mein bhi baitha hun pure man ke sath kisi ne mujh ko bulaya hai iltija kar ke bashar samajh ke kiya tha na yun nazar-andaz le main bhi chhod raha hun tujhe khuda kar ke to phir wo rote hue minnaten bhi mante hain jo intiha nahin karte hain ibtida kar ke badal chuka hai mera lams nafsiyat us ki ki rakh diya hai use main ne an-chua kar ke mana bhi lunga gale bhi lagaunga main 'ali' abhi to dekh raha hun use khafa kar ke