haqir jaanta hai iftikhar mangta hai wo zahr bantta hai aur pyar mangta hai abhi to hath mein us ke hai khandan ki laj gareban sab ke jo ab tar-tar mangta hai bichha ke rakhta hai wo sab ki rah mein kante sile mein logon se phulon ke haar mangta hai main apne wade pe qarza chuka nahin paya muafi dil se abhi sharmsar mangta hai hawas jab se mile tab se iztirab mein hun mere khuda mera dil bhi qarar mangta hai amir-e-shahr ne chhina hai munh ka luqma bhi phir is pe qahr abhi eatibar mangta hai abhi ye ahl-e-siyasat ke bas ka rog nahin abhi ye mulk naya shahsawar mangta hai baja ke tair-e-chashm-e-hasin hai mashshaq dil-o-nazar ka magar ye shikar mangta hai main dekhta hun ki zulfen teri sanwarta hun hai khwab achchha magar intizar mangta hai 'rashid' un pe mera naghma kargar hi nahin ye git wo hai ki jo dil ke tar mangta hai