janam liya hai jo insan-farosh nagri mein

janam liya hai jo insan-farosh nagri mein
sukut chhaya hua hai khamosh-nagri mein

jo munh ki kha ke palatta hai aur basti se
nikalta hai wo sab apna josh nagri mein

agarche chehre se ye sakht-gir lagte hain
sabhi hain dost-sifat barf-posh nagri mein

tumhaare shahr ke shar shor ka asar hi nahin
ki chhod aaya hun main chashm-o-gosh nagri mein

padi hai sab ko yahan apna sar chhupane ki
koi to mujh sa dikhe sarfarosh nagri mein

amir-e-shahr ne sarf-e-nazar pisar se kiya
gharib-e-shahr ka nikla hai dosh nagri mein

uga rahe hain yahan fasl zulmaton ki jo
sunai di hai nawa-e-sarosh nagri mein

bahaar aai hai pili khizan ruton ke ba'd
so paya jata hai josh-o-kharosh nagri mein

'rashid' nam ke sunte hain koi shaer hain
nahin hai un sa koi shabdkosh nagri mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close