haqir zarra bhi koh-e-giran dikhai de

haqir zarra bhi koh-e-giran dikhai de
kabhi kabhi ye zamin aasman dikhai de

jo meri aankh se aansu rawan dikhai de
to dubta hua sara jahan dikhai de

har ek shakhs yahan bad-guman dikhai de
mera khulus mujhe raegan dikhai de

zamin pe khun ki sargoshiyan ubharti hain
makin to koi nahin hai makan dikhai de

sulagti ret pe chalte raho kahin na kahin
ajab nahin ki koi saeban dikhai de

mere khulus ki garmi bhi kaam aa na saki
dabiz barf mein chehra kahan dikhai de

jo bahr-e-wahm mein dube hue se rahte hain
unhen yaqin ka jazira kahan dikhai de

'nasim' apni kahani kise sunaoge
koi na shahr mein ab raazdan dikhai de


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close