raushni ban kar andhere mein bikhar jata hai kaun rafta rafta zehn ke andar utar jata hai kaun muntashir hota to hai lekin sanwar jata hai kaun reza reza ho ke bhi yaksar nikhar jata hai kaun apni apni zid pe qaem hain abhi dil aur dimagh dekhna hai waqt ki thokar se dar jata hai kaun jaanta hun meri mushkil ki dawa hai tere pas mangne khairaat lekin tere ghar jata hai kaun sarhaden mayusiyon ki badhti jati hain 'nasim' daman-e-ummid itna tang kar jata hai kaun