zist ki had hai jahan tak himmat-e-mardana hai aadmi tarikh hai aur aadmi afsana hai khum kahin bharpur hai khali kahin paimana hai tu kahan soi hui ai jurat-e-rindana hai sari duniya ek fareb-e-jalwa-e-jaanana hai ye haram hai dur se nazdik se but-khana hai waqt ka meri tarah un ko bhi hai shikwa magar mere shikwa ka zara andaz bebakana hai ye kisi ne bhi na dekha aag parwane mein thi ye zamana dekhta hai aag mein parwana hai kuchh hawa de den agar bairun-e-dar ki koshishen ghar jalane ke liye hazir charagh-e-khana hai tishnagi-e-shauq manzil tak salamat le ke ja hoshiyar ai rah-rau har mod par mai-khana hai pursish-e-ahwal par juz-shukr kuchh kahte nahin boriye par bhi mizaj-e-ahl-e-dil shahana hai