umr badhti ja rahi hai zist ghatti jae hai jism ki khushbu ki khwahish dur hatti jae hai soch mein bhi ab nahin pahla sa tewar aur loch shauq ki diwar gard-e-gham se uthti jae hai be-maza hone lagi hai zindagi baad-e-shabab raat abhi baqi hai lekin nind uchatti jae hai aa rahi hai sukh milan ki champai ujli sahar dukh ki ye bechain andheri rain katti jae hai yas ke hassas lamhon mein bhi hai kitna surur shahida ummid ki mujh se lipatti jae hai kaam ki ifraat mein daftar ke hangamon mein bhi teri yaad aae tawajjoh meri batti jae hai hai badan chur aur komal kis qadar chit-chor sham jaise sharmili dulhan khud mein simatti jae hai hai wo chanchal kaamani mahbub sare shahr ko dekh kar jis ko nazar meri palatti jae hai bab-e-hasrat dastan-e-shauq taswir-e-umid lamha lamha zindagi auraq ulatti jae hai jag uthi hai jiw-jyoti aas aur wishwas ki 'krishn-mohan' kalima dubidha ki chhatti jae hai