mata-o-mal-e-hawas hubb-e-al samne hai shikar khud ko bacha dekh jal samne hai khayal-e-kohna muqayyad hai teri sochon mein rihai de ki saza yarghamal samne hai mujhe malal hai apni falak-nashini par yahi uruj ki had phir zawal samne hai ragon mein khun ke badle machal rahi hai aag ziyan badan ka na jaan ka wabaal samne hai yahi hai kaba-e-maqsud isi se jalwa-e-arsh utha le chah se qut-e-halal samne hai wo ba-kamal siyaq o sabaq par hawi guzishta us ki nazar mein maal samne hai saza ki himmat-e-ali bhi ho gai paspa hazar-ha araq-e-infial samne hai khulus sikka-e-uftada jeb-e-hasti ka utha ke dal de dast-e-sawal samne hai hamare sabr ki had hum pe aashkara ho musabbiba sabab-e-ishtial samne hai mujhe aziz hai sahra-e-mumkinat ki sair ye aur baat ki bagh-e-muhaal samne hai nazar ba-khair ho 'rahi' ki bu-e-gul ki tarah chhupa hai wo magar us ka jamal samne hai