har aashna mein kahan khu-e-mehrmana wo ki bewafa tha magar dost tha purana wo pukarte hain mah-o-sal manzilon ki tarah laga hai tausn-e-hasti ko taziyana wo hamein bhi gham-talabi ka nahin raha yara tere bhi rang nahin gardish-e-zamana wo ab apni khwahishen kya kya use rulati hain ye baat hum ne kahi thi magar na mana wo yahi kahenge ki bas surat-ashnai thi jo ahd tut chuka yaad kya dilana wo is ek shakl mein kya kya na suraten dekhin nigar tha nazar aaya nigar-khana wo bujha diya hai tujhe bhi 'faraaz' duniya ne kahan gaya tera har waqt muskurana wo