khushk aankhon ki kahani dasht dasht apni hi thi nam hawaon mein sada-e-bazgasht apni hi thi dhundte phirte rahe the saya saya zindagi dhup ki galiyon mein subh-o-sham gasht apni hi thi jagti rahti thin aankhen khana khana khauf khauf khwab ki raushan-numai tasht tasht apni hi thi jangalon se shahr tak shana-ba-shana pusht pusht silsila karti hui wo sar-guzasht apni hi thi meri khush-tabai na thi ru-e-gharib-e-shahr han shahar-yaron mein muzawwaj khu-e-zasht apni hi thi karte the 'parwez' 'rahmani' ujale gul-kashid shab-girafta wadiyon mein khar-gasht apni hi thi