hijr karte ya koi wasl guzara karte hum bahar-haal basar khwab tumhaara karte ek aisi bhi ghadi ishq mein aai thi ki hum khak ko hath lagate to sitara karte ab to mil jao hamein tum ki tumhaari khatir itni dur aa gae duniya se kinara karte mehw-e-araish-e-rukh hai wo qayamat sar-e-baam aankh agar aaina hoti to nazara karte ek chehre mein to mumkin nahin itne chehre kis se karte jo koi ishq dobara karte jab hai ye khana-e-dil aap ki khalwat ke liye phir koi aae yahan kaise gawara karte kaun rakhta hai andhere mein diya aankh mein khwab teri jaanib hi tere log ishaara karte zarf-e-aina kahan aur tera husn kahan hum tere chehre se aaina sanwara karte