har sahib-e-jamal ke dil ka makin hai mahfil mein ek shakhs jo gosha-nashin hai sui bhi dhund lai hai dhaga bhi fareha aur jaun hai ki apni hi duniya mein lin hai duniya hamare bich muallaq hai is tarah jis tarah ain-o-qaf ke mabain shin hai farhad kar-khane mein teshe galata hai aur qais apne shahr mein sab se zahin hai jis ke liye bana hai usi kaam ka nahin insan apne waqt ki bigdi machine hai main aazma to lun mere kuchh doston ko par kuchh doston ka ghar hi meri aastin hai jo tera ho gaya wo kisi ka nahin hua ai maut bil-yaqin tu behad hasin hai ek aarzu ka jism abhi bhi hawa mein hai aur ek aarzu hai jo zer-e-zamin hai jo tujh ko chahte hain unhen chahta hun main mujh ko yahi sikhaya gaya hai ye din hai tum kya kisi bahaar mein 'shadab' ho sake tum jhut bolte the ki mausam hasin hai