har bulandi se guzar jaana tha kaam mushkil sahi kar jaana tha mauj-dar-mauj sanwarne ke liye gham ke dariya mein utar jaana tha kab talak kashmakash-e-maut-o-hayat ya to jina tha ya mar jaana tha ishq paband-e-gulistan kyon ho bu-e-gul ban ke bikhar jaana tha kaun se mod pe aa pahuncha hun bhul baitha hun kidhar jaana tha panw be-jaan the aankhen be-nur dur manzil thi magar jaana tha wo bhi nazron se gira hai 'jauhar' jis ko mearaj-e-nazar jaana tha