main na jaana tha ki tu yun be-wafa ho jaega aashna ho is qadar na-ashna ho jaega khub lagti hai agar bad-nami-e-ashiq tujhe aah karta hun ki shohra ja-ba-ja ho jaega gar tumhaari dil khushi hai zabh karne mein mere khub ji jawe to jawe aur kya ho jaega main suna hon tujh labon ka nam hi hajat-rawa yak tabassum kar ki mera muddaa ho jaega kya ajab gar main hua diwana-e-zulf-e-butan gar farishta howe to un ka mubtala ho jaega main tumhaare aastane sin juda hone ka nahin sar agar shamshir sin kat kar juda ho jaega jyun 'siraj' us shama-ru par dil kun hai milne ka shauq farz-e-ain-e-ashiqi sin ab ada ho jaega