har-chand apne aks ka dil dardmand ho aaine ke labon pe agar zahr-e-khand ho be-mehr aaftab ka darwaza band ho aandhi zara thame to ghata sar-buland ho har lamha us ki madh-sarai na kijiye mumkin hai aisi baat use na-pasand ho har gam hauslon ka yahi muddaa raha gumrah zindagi ki masafat do-chand ho 'akhtar' main ikhtilaf ka qail nahin magar ahbab ka mizaj hi jab shar-pasand ho