hara shajar na sahi khushk ghas rahne de zamin ke jism pe koi libas rahne de kahin na rah mein suraj ka qahr tut pade tu apni yaad mere aas-pas rahne de bikhar chuke hain samaat ke talkh shiraaze ab apne naram labon ki mithas rahne de wo dekh dah chukin wahm-o-guman ki diwaren yaqin chikh raha hai qayas rahne de bada latif andhera hai raushni na jala urus-e-shab ko abhi khush-libas rahne de tasawwuraat ke lamhon ki qadr kar pyare zara si der to khud ko udas rahne de