harif-e-waqt hun sab se juda hai rah meri na qasr-e-shah se nisbat na khanqah meri kisi se koi talluq na rasm-o-rah meri ki ab hai khema-e-tanhai khanqah meri na jaane kis ke tajassus mein gharq rahti hai bhatakti phirti hai chaaron taraf nigah meri kisi ke ru-ba-ru main sar-nigun hua hi nahin meri ana ne salamat rakhi kulah meri main apne mulk-e-sukhan se faraaz chahta hun mujhe hisar mein rakhti hai ab sipah meri charagh kis liye dahliz-e-dil pe raushan hain ye kis ki did ko aankhen hain farsh-e-rah meri kuchalta rahta hun khauf-e-khuda se sham o sahar ki sar uthati nahin khwahish-e-gunah meri main apne-ap mein sarsabz phir bhi rahta hun agarche kisht-e-tamanna hai be-giyah meri na jaane kitne dilon mein shigaf kar dale agar nikal gai 'akhtar' jo dil se aah meri