idhar mausam ki ye khush-e-ehtimami udhar rindon ki ye hasrat-bajami hawaen chal rahi hain sansanati ghataen uth rahin hain dhum-dhami ye hai aks-e-hilal ai mauj-e-sahil ki shamshir-e-badan ki be-niyami phadakta ja misal-e-baal-e-jibril na chup ho ai dil ai mere payami khule hain panch dar ek samt-e-dariya nawishte mein yahin thi ek khami bahut hai arsh par dam bhar ka phera nahin bhati hamein qaid-e-maqami nahin hai chashm-e-fitrat mein koi phul zamin ki kokh ka jaya harami suna do un ko ye bhi qaul-e-'haqqi' abhi tak soch mein jin ki hai khami