har-chand teri yaad junun-khez bahut hai main jag raha hun ki hawa tez bahut hai kyun kar na mere tan se chhalak jae khamoshi paimana-e-jaan zabt se labrez bahut hai kya koh-e-giran thahre teri rahguzar mein ai husn teri ek hi mahmez bahut hai ek chand ki kashti hi nahin dubne wali warna wo samundar to bala-khez bahut hai gul-dan se lagte hi bikhar jati hai titli goya ye rag-e-sang bhi khun-rez bahut hai palkon pe koi phul nahin hai to ajab kya kahne ko to mitti meri zarkhez bahut hai tum khud sa samajh kar na ise hath lagana wo khak ka putla hi sahi tez bahut hai dharna hai kahin to ye giran-bari-e-khatir zanu jo nahin sar ke liye mez bahut hai kya hai jo katore ke bhi pairak nahin hum jine ko to ye hila-e-tabrez bahut hai 'tabish' jo guzarti hi nahin sham ki had se sochen to wahin raat sahar-khez bahut hai