ji jae magar na wo pari jae yarab na hamari dil-lagi jae dil hijr mein jae ya ki ji jae jis ka ji chahe wo abhi jae is gil ka na wasl ho na ji jae kyunki mere dil ki be-kali jae tum lal-e-lab apne gar dikhao phir su-e-yaman na jauhari jae is ghuncha-dahan ki bu na lae dikhlae na munh saba chali jae saughat ki tarah pesh-e-majnun bedi aur meri hathkadi jae sabit hai jab pahad-e-wahshat jab tak daman hamara si jae ghairon ko to mai pilae saqi main mangun to saf sun ke pi jae ham-rah ho parwarish-e-ali bhi yan se jo karbala 'sakhi' jae