umr guzar jati hai qisse rah jate hain pichhli rut ke bichhde sathi yaad aate hain logon ne batlaya hai hum ab aksar baaten karte karte kahin kho jate hain koi aise waqt mein hum se bichhda hai sham dhale jab panchhi ghar laut aate hain apni hi aawaz sunai deti hai warna to sannate hi sannate hain dil ka ek thikana hai par apna kya sham jahan hoti hai wahin pad jate hain kuchh din hasb-e-mansha bhi ji lene de dekh teri thuddi mein hath lagate hain