hosh-o-himmat-azma shan-e-tajammul kyon nahin wo kisi ka aashnayana taghaful kyon nahin zabt ki talqin izhaar-e-tamanna ke liye hosh khone ke liye shart-e-tahammul kyon nahin andalib-e-khud-nigar kyon raat-din aah-o-buka ehtiram-e-jazba-e-khuddari-e-gul kyon nahin shad ho mahbub to nashad koi kis liye khanda-e-gul bais-e-taskin-e-bulbul kyon nahin dhundhti hai aankh phir wo sai-e-begana-washi dawat-e-arman ba-andaz-e-taghaful kyon nahin sharm ka le kar sahaara wo nazar utthi to kya ye sharar-e-barq aazad-e-tawassul kyon nahin jo nigahen sarf-e-taraj-e-shuur-o-hosh thin aaj wo ghaarat-gar-e-sabr-o-tahammul kyon nahin jam khali ho to rangini ko us ki kya karen baada-e-gulfam se pur saghar-e-gul kyon nahin wo sukun wo aashti wo sarkhushi paen kahan zindagi taswir-e-firdaus-e-takhayyul kyon nahin