harim-e-dil pe Dali thi nazar ek sarsari humne

harim-e-dil pe dali thi nazar ek sarsari hum ne
jawab-e-barq-e-aiman thi jo dekhi raushni hum ne

tere gham ki badaulat yun guzari zindagi hum ne
udai zindagi bhar har musibat ki hansi hum ne

kabhi mehr-o-mah-o-anjum ko bhi zulmat-nishan paya
kabhi zarron mein bhi dekhi tajalli tur ki hum ne

mita kar imtiyaz-e-rang-o-nasl-o-din zamane se
kiya hai kis qadar uncha maqam-e-admi hum ne

yahan maujud the sarw-o-saman bhi mah-o-anjum bhi
kami mahsus ki phir bhi barabar aap ki hum ne

agar rone pe baat aai to hans kar pi liye aansu
badhai is tarah aksar zamane ki khushi hum ne

namaz-o-bandagi ke go nahin paband hum lekin
khulus-e-dil se ki hai jab bhi ki hai bandagi hum ne

nasheman ko laga di aag khud apne hi hathon se
mitai hai chaman ki yun bhi aksar tirgi hum ne

kisi shai ki nahin is mein kami yun to magar ya-rab
teri duniya mein pai ek insan ki kami hum ne

lutaya zindagi sa gauhar-e-nayab bhi hans kar
teri khatir na ki parwa salib-o-dar ki hum ne

farozan kar ke sham'-e-dil zamane ko ziya bakhshi
mitai is tarah 'sabir' jahan se tirgi hum ne


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close