main bil-umum jo honton ko band rakhti hun mukhalifat mein bhi apni pasand rakhti hun main jaanti hun ki mujh se na ban padega kuchh yahi bahut hai dil-e-dard-mand rakhti hun ye kam nahin ki julus-e-jahan mein rah kar bhi kisi ki yaad ka parcham buland rakhti hun tere usul-e-mohabbat se mujh ko shikwa hai magar main khud ko tera kar-band rakhti hun agar ye aandhiyan chalti hain mere sar mein 'qamar' to kyun main ghar ke darichon ko band rakhti hun