ho gae mujh se khafa sarkar kyon kahne sunne se hue bezar kyon mubtala-e-ishq jaan-e-zar kyon dil haris-e-lazzat-e-azar kyon qata kar ke zindagi ki har umid puchhte ho haalat-e-bimar kyon tegh-e-abru kar rahi hai qatl-e-am marke mein hajat-e-talwar kyon ghair-mumkin hai dawa-e-dard-e-dil pae sehat ishq ka bimar kyon utre bahr-e-ishq mein khanjar ke ghat taliban-e-abru-e-khamdar kyon ai zulekha bik gae ban kar ghulam hazrat-e-yusuf sar-e-bazar kyon dozakh-o-jannat ka waiz muft mein bandhte hain is qadar tumar kyon hazrat-e-'masud' hijr-e-yar mein ho gai hai zindagi dushwar kyon