har din jis par phul khilen wo be-mausam ki dal nahin main saje na saje har kandhe par padne wali shaal nahin main mitti ka hun pyala lekin pyas mein sab ka hath bataun jod len jis mein aarti jhat se pital ki wo thaal nahin main khub khizan ko is ka pata hai haal-e-zabun bhi mera juda hai dosh-e-hawa par udne wale patton sa behaal nahin main mera muqaddar hath mein mere waqt se mere rishte nate jhuti tasalli dene wali koi kitab-e-fal nahin main baad-e-mukhalif lakh chale par ud nahin pae rangat meri rang-ba-rang calender par chhapne wala sal nahin main fankaro ki sunnat hun 'afsar' jo hai dil mein wo hai munh par phansne wali chaal hai jis mein makdi ka wo jal nahin main